Saturday, July 16, 2011

EK GAZAL

jane kiun woh sansoo ki dor tutne nahi deta

do qadam aur chalne ka wasta dekar mujhe rokne nahi deta

baat kahta hai woh mujhse hans hans kar jee lene ki

ajeeb shakhs hai mujh ko chain se rone nahi deta

ajj hosla deta hai mujhe chand sitaron ko chhoo lene ka

woh pyara sa chehra mujhe toot kar bikharne nahi deta

shayad janta hai woh bhi in ankhon main ansuon ka sailab hai

jane kiun phir bhi woh in ansoun ko girne nahi deta

mujh se kehta hai main to mar jaon ga tumhare bina

main zinda hoon ab tak woh mujhe marne nahi deta