Sunday, August 14, 2011

CONGRATULATIONS INDIA INDEPENDENCE DAY


CONGRATULATIONS TO ALL OUR PARTNER IN PROGRESS AND UNITY OF OUR NATION INDIA AS WELL AS RESPONSIBLE CITIZEN OF INDIA. JAI HIND ! JAI BHARAT !

Friday, August 12, 2011

Soorat

Zindagi ik bahaar ki soorat,
Chaahte hain qarar ki soorat
Waqt ke zulm o sitam ka sehna,
Hai tere , intezaar ki soorat
Ek dushman hai mere pehloo mein,
Dil e be akhtiyaar ki soorat!!
Dil e nadaN hai laailaaj ise,
Hai gumaN, aitbaar ki soorat!!
Hashr apna hamesha yad raha,
Jab bhi dekhi ghubaar ki soorat!!
Ishq mera, surur ke jaisa,
Husn tera khumar ki soorat!!
Hijr ki rut mein nazar aata hai,
Gul e khushrang, khaar ki soorat!!
Kash mera mizaj e dil hota,
Tere kaul o qarar ki soorat!!
Dard ka ik mujassima hai hayat,
Yak dil e ask baar ki soorat!!
Naqd paaye hain hamne dard ‘ashesh’
Aur khushiyaN ,udhaar ki soorat!!!

Tuesday, August 9, 2011

EK AUR NAZM

‎koi tamheed na tamseel puraani likhna,
yun guzarte hue maosam ki kahani likna

tum kalamkar ho jo such hai wo likhna hoga,
mujhko majboor mere khoon ko paani likhna

tumne eak lafz.e wafha likha tha pichle khat mein,
ab jo khat likhna to uske bhi maaney likhna

dono buchpan mein jahan roz mila karte they,
bagh mein hai wo abhi,raat ki raani likhna

dard gunchon ka samajh loge agar aye ashraf,
bhool jaoge gul.e.tar kikahani likhna,,,'

Friday, August 5, 2011

GAZAL

Wo jazbon ki tijarat thi, yeah dil kuch aur samjha tha
use Hansnay ki adat thi, yeah dil kuch aur samjha tha

mujhe us ne kaha Aaoo nayi duniya basatay hain
use sojhi sharat thi, yeh dil kuch aur samjha

Hamesha uski ankhon main dhanak se rang hotay thay
yeah uski Aam halat thi, yeah dil kuch aur samjha tha

Wo mere pass bethi daIr tuk ghazalien meri sunti
use khud se muhabbat thi, yeah dil kuch aur samjha tha

mere kandhoon pe sir rukh ker kahien pe kho gaye thi wo
yeah ik waqti inyat thi, yeah dil kuch aur samjha tha

Mujhe wo dekh ker aksar nighahien phair leti thi
yeh dur parda hiqarat thi, yeah dil kuch aur samjha tha

FROM ALMIGHTY ALLAH

O Allah! aid, guide and grant me (tawfiq) success to refine the qualities of my soul and clarify its density; through spiritual exertion that overcomes and effaces egoistic (nafsi) frivolities and subdues desirous motives; which is adorned by constant presence with Allah, Mighty and Majestic and the quality of good manners on the carpet of lowliness, brokenness, poverty and absolute need; thus realizing slavehood and fulfilling the rights of Lordship. Indeed you have power over all things. Ameen !

NEW GAZAL

Rait se butt na bana Ae mere acchay funkaar
Aik lamhay ko thahar main tujhe patthar la dun
Main tere saamnay ambaar laga dun lekin
Kon se rang ka patthar tere kaam ayega ?
Surkh patthar jisay dil kehti hai be-dard duniya
Ya wo pathraayi huwi aankh ka neela patthar
Jis mein sadiyon se tehreer ka paray huwe doray
Ya tujhe rooh k patthar ki zururat hogi
Jis pe haq baat bhi patthar ki trah girti hai
Aik wo patthar hai jisay kehte hain Tehzeeb-e-Safaid
Us k marr marr mein seyaah khoon jhalak jata hai
Aik insaaf ka patthar bhi to hota hai magar
Haath mein Teesh-e-Zarr ho to wo haath aata hai
Jitne mayaar hai is dour k sb patthar hain
Jitne afkaar hain is dour k sb patthar hain
Sher bhi, husn bhi, Tasweer-o-Ghnaa bhi patthar
Mera alhaam, tera Zehn-rsaa bhi patthar
Is zamanay mein to hr fun ka nishaan patthar hai
Haath patthar hain tere, meri zubaan patthar hai

GAZAL

apne dil ki quwwaton ko aazmaana chhodiye,

iski khatir, uski khatir muskerana chhodiye!!

saaz e ulfat chhediye, gham ka tarana chhodiye,

jo na de paaye sukun , aisa khazana chhodiye!!

jinmen hon rishte gharaz ke, sath mein naqli hansi,

un muhazzab mehfilon mein, aana jaana chhodiye!!

aapka apne siwa yuoon bhi jahaN mein kaun hai,

phir yeh ummeeden zamane se lagana, chhodiye!!

hansne wale sab milenge chaarager koi nahin,

sab ke aage dil ke zakhmon ko dikhaana, chhodiye!!

jis mein ho sach ki tijarat, jee to karta hai 'ashesh,'

aise matlab ke jahaN ka aab o daana, chhodiye!!

Monday, August 1, 2011

EK DUAA

Jagmagaate suraj si zindagi ata kar de,
Ilm ki hamen ya rab roshni ata kar de.
Jis khushi ko duniya main baant dain khushi se ham,
Aaj ai khuda ham ko woh khushi ata kar de.
Baat jo karain uska lafz lafz roshan ho,
Guftugu ko eik aisi dilkashi ata kar de.
Aina jo ho har waqt waqai nadamat ka,
Too hamari aankhon ko wo nami ata kar de.
Phir hamari azmat main char chand lag jayen-,
Phir hamen jahan bhar ki sarwari ata kar de.
Hamne tujh se jo manga us main aie khuda wanda,
Jo bhi sab se behtar ho bas wahi ata kar de.
Kahkashan ye ham rab se roz -o-shab dua mangen
Too hamen zamane main bartari ata kar de. .....................AMIN.