Friday, August 5, 2011

NEW GAZAL

Rait se butt na bana Ae mere acchay funkaar
Aik lamhay ko thahar main tujhe patthar la dun
Main tere saamnay ambaar laga dun lekin
Kon se rang ka patthar tere kaam ayega ?
Surkh patthar jisay dil kehti hai be-dard duniya
Ya wo pathraayi huwi aankh ka neela patthar
Jis mein sadiyon se tehreer ka paray huwe doray
Ya tujhe rooh k patthar ki zururat hogi
Jis pe haq baat bhi patthar ki trah girti hai
Aik wo patthar hai jisay kehte hain Tehzeeb-e-Safaid
Us k marr marr mein seyaah khoon jhalak jata hai
Aik insaaf ka patthar bhi to hota hai magar
Haath mein Teesh-e-Zarr ho to wo haath aata hai
Jitne mayaar hai is dour k sb patthar hain
Jitne afkaar hain is dour k sb patthar hain
Sher bhi, husn bhi, Tasweer-o-Ghnaa bhi patthar
Mera alhaam, tera Zehn-rsaa bhi patthar
Is zamanay mein to hr fun ka nishaan patthar hai
Haath patthar hain tere, meri zubaan patthar hai

No comments:

Post a Comment