Monday, May 16, 2011

Al Mashhoor Shayar Munawwar Rana ki ek Nazm....

Mein khul ke hans to rahaa hoon fakeer hote huye
Woh muskuraa bhi naa payaa ameer hote huye

Likhi hai khawari muqqadar mein meer hote huye
Mein khan-khwaa se bahar hoon peer hote huye
...
Yahan pe izzaten marne ke baad milti hai
Mein seediyon pe pada hoon kabeer hote huye

Ajeeb khel hai duniyaa teri siyaasat kaa
Mein paidalon se peeta hoon wazeer hote huye

Yeh ehtejaaj ki dhun kaa khayaal rakhte hain
Parinde chup nahin rehte aseer hote huye

Nayen tareekon se mein ne yeh jang jeeti hai
Kaman phenk dee tarkash mein teer hote huye

Jise bhi chahiye mujhse duaaye le jayen
Lutaa raha hoon dualat fakeer hote huye

Tammam chahane walon ko bhool jaaten hain
Bohat se log tarraki pazeer hote huye

5 comments:

  1. Bahut khoob Rana Sahab.............

    ReplyDelete
  2. sir im ur big fan........... apki hr ek line me dum hota h...........just like......
    Uddas rehene ko acha nhi batata h ,
    Koi bhi jeher ko meetha nhi batata h ,
    Kl apne apko dekha tha maa ki ankho me ,
    Ye aiyna hume budha nhi batata h………………

    Aye andhere dekhle muh tera kala ho gaya ,
    Maa ne ankhe khol di ghr me ujala ho gaya……………………

    Is tarhe mere gunaho ko wo dho deti h ,
    Maa bohot gusse me hoti h to ro deti h ,
    Bulandiyo ka bade-se-bada nishan chua ,
    Uthaya god me tb asman chua………..

    Bulandi der tk kis shaksh ke hisse me reheti h ,
    Bohot unchi imarat hr ghadi khatre me reheti h ,
    Ye aisa karz h jo me adda kr hi nhi skta ,
    Me jb tk ghr na lotu meri maa sajde me reheti h……………..

    Meri khuaish h ki me frse farishta ho jau ,
    Maa se is tarhe lipat jauu ke bacha ho jau ,
    Kam-se-kam bacho ke hoto ki hasi ke khatir ,
    Aise mitti me milana ki khilona ho jau……………..

    Mujhko hr hal me bakshega ujala apna ,
    Chand rishte me nhi lgta h mama apna ,
    Mene rote hue puchete kisi din ansu ,
    Mudato maa ne nhi dhoya dupatta apna……………..

    Umar bhr khali makan humne yuhi rehene diya ,
    Tum gaye to dusre ko kabhi yaha na rehene diya ,
    Mene kl sb chahto ki kitabe phad di ,
    Sirf ek kagaz pr likha shabd maa rehene diya………………….

    Mukht asar hote hue bhi jindgi badh jayegi ,
    Maa ki ankhe chum li jiye ,
    Ankho ki roshni badh jaegi………………….

    Yu to ab usko sujhai nhi deta lekin ,
    Maa abhi tk mere chehre ko padha krti h ,
    Maa ki sb khubiya beti me chali ayi h ,
    Me to so jata hun magr wo jaga krti h…………..

    Dukh bhi la skti h magr January achi lagi ,
    Jis tarhe bacho ko jalti hui ful jhadi achi lagi ,
    Ro rahe the sb to me bhi fut kr rone laga ,
    Warna mujhko betiyo ki rukhsati achi lagi ,
    Tere daman me sitare h ,
    To honge aye falak ,
    Mujhe apni maa ki meli odhni achi lagi ,
    Bhatakti h hawas sone ki dukano me ,
    Garibi kaan chidwati h tinka dal deti h ,
    Bichad kr bhi mohobbat ke jamane yaad rehete h ,
    Ujad jati h mehefil or chehre yaad rehete h……………..

    Shagufta ( kush mijaj log )log bhi tute hue hote h ander se ,
    Bohot rote h wo jinko latife yaad rehete h ,
    Or khuda ne ye sifft duniya ki hr aurat ko bakshi h ,
    Ki wo pagal bhi ho jaye to bête yaad rehete h………………
    Lippat jata hun maa se or mausi muskurati h ,
    Me urdu me gazal keheta hun to hindi muskurati h ,
    Uchalte-khelte bachpan me beta dhundti hogi ,
    Tabhi to dekhkr pote ko daddi muskurati h…………….

    Na me kanghi banata hun ,
    Na me choti banata hun ,
    Gajal me main ap biti ko jag biti banata hun ,
    Gajal wo sinfe najok h ,
    Jise apni rafakt se ,
    Wo mehebuba bana leta h me beti bana leta hun………………..
    Mere angan ki kaliyo ko ,
    Tammana shah jado ki ,
    Magr meri musibat ye h ,
    Me bidi banata hun or is shehr ki sabhi ladkiya adab krti h ,
    Me bacho ki kalai ki rakhi banata hun ,
    Hukumat ka hr ek inam h banduk saji pr ,
    Mujhe kese milega me to baisakhi banata hun………….

    Bs itni iltijaha h ,
    Tum ise barbad mt krna ,
    Tumhe is mulk ka malik me jiteji banata hun ,
    Na me kanghi banata hun ,
    Na me choti banata hun ,
    Gajal me main ap biti ko jag biti banata hun…………..

    ReplyDelete
  3. कमाल है मुनव्वर राना।

    ReplyDelete
  4. Munawwar sahab aap sadi ke mahan shayar hai

    ReplyDelete