Tuesday, May 17, 2011

Mahi

Maine Dekha Tha Un Dino Mien Usse
Jab Wo Khiltay Gulab Jesa Tha
Uski Palkoon Se Ne...end Chanti Thi
Us Ka Lahja Sharab Jesa Tha
Us Ki Zulfoon Se Bhegti Thi Ghatta
Us Ka Rukh Mahtaab Jesa Tha
Log Parhtay Thay Khal O Khad Us Ke
Wo Adab Ki Kitab Jesa Tha
Bolta Tha Zaban Khushbu Ki
Log Suntay Thay Dharkanooon Mien Usse
Mien Dekha Tha Un Dino Mien Usse
Sari Ankhien Thein Aainay Uske
Saray Chahroon Mien Intekhab Tha Wo
Sab Se Ghul Mil Ker Ajnabi Rahna
Ek Dariya Numa Serab Tha Wo
Khawab Yeh Hai K Woh Haqeeqat Tha
Yeh Haqeeqat Hai Koi Khwaab Tha Woh
Dil Ki Dharti Pe Aasmaan Ki Tarha
Sorat E Saaya O Sahaab Tha Woh

Apni Neendien Bhi Uski Nazr Hoein
Meine Paya Tha Ratjagoon Mein Usse
Meine Dekha Tha Un Dino Mien Usse
Jab Wo Hans Hans Ke Raat Karta Tha
Dil Ke Khemay Mein Raat Karta Tha
Rang Parhtay Thay Aanchaloon Mien Usse
Miene Dekha Tha Un Dino Mien Usse

Ye Magar Daer Ki Kahani Hai
Ye Magar Dour Ka Fasana Hai
Us Ke Aur Mere Milaap Ke Haail
Ab To Sadiyon Bhara Zamana Hai
Abh Ke Haal Apna Bhi Dasht E Hijra Ki Shaam Jesa Hai
Kia Khaber In Dino Wo Kesa Hoga??
Mein Ne Dekha Tha Un Dino Mein Usse

No comments:

Post a Comment